Sunday 27 March 2016

Bachay Ka Zid Karna

BACHAY KA ZID KARNA

Hamara mushahida hai k bachon ko ziddi bananay wali Rohani Waja Nazr E Bud hai jo k bachay ki paidaesh k baad us waqt lagti hai jab Azeez O Aqarab bachay ki paidaesh ki mubarakbad dene atay hain. Us khushi k moqay par kuch hasid Azeez O Aqarab bhi mojud hotay hain jo bachay ko buri nazar ya hasdana nazron say dekhte hain to usi waqt un k dimagh say bud nazri ki aisi lehrain nikalti hain jo bachay par fori asar andaz hoti hain aur bachay ka musalsal rona, bemar ho jana, khana peena chorr dena, sotay main dar jana ya achanak cheekhna shuru kar dena aur is kisam ki deegr alamaat bachay par bud nazri k asrat ka ishara karti hain. In halat ko dekhte huye maa foran samajh jati hai k bacha bud nazri ka shikar ho gaya hai lakin is bud nazri ko wo dum ya wazaif k saharay waqti tor par khatam kar k pursakoon to ho jati hai lakin is cheez say baykhabar hoti hai k yea asrat mustaqbil main bachay par kis tarha asarandaz honay walay hain. Yehi asrat bachay ko ziddi, nafarman, hud say ziada shararti, kund zehen, bemar, kamzor aur Ehsas E Kamtari ka shikar kar dete hain jo k bachay ki shakhsiyat par intehai bura tasur daltay hain. Yehi zid ahista ahista pukhta ho kar bachay ko shiddat pasand banati hai. Hum nay apko bachay k zid karnay ki zahri o batni dono wajuhat say mukhtasaran aagahi day di hai aur is haqeeqat say aagah honay k baad bhi yea hargiz mat samjhen k waqt guzarnay k sath yea zid ya is say honay walay mazeed nuqsanat khatam ho jaen gay. Yea asrat usi surat khatam hon gay jab aap bachay ko Rohani Tahafuz day kar in asrat ko us k wajud say nikalen gi. Bachay k Rohani Tahafuz k liye yea Naqsh (BACHAY KA ZID KARNA) jo k hamaray Rohani Mahreen nay Khaasi Riazat k baad Hazoor Pak (S.A.W.) k biyan karda Muqadas Kalmat say tayar kiya hai. Yea Naqsh (BACHAY KA ZID KARNA) jesay hi Sayel k name mansoob hota hai to in hi Muqadas Kalmat ki barkat say Nazr E Bud ka asar 3 din k andr zayel ho jata hai aur bachay k wajud say asrat khatam hotay hi wohi bacha maa baap ka tabiadar aur suljha hua Insan banta hai.

READ%20MORE